Ye maut jhukale apna sar
Aur chupale apna chehra (2)
Maana ke tere kadmon mein aakar
Ruk jaathe hai saare raaste
Tujhse jeet sakaa na koi
Ek na ek din aana hi hai teri panaah mein
Magar dekh khulkar apni aankhen
Khule kiye hai hum ne dil ki darwaaje
Peekar ghomp gham ke bhi
Aur dhoond nikaale hai nayi tareeken
Tujhe bebas mukarrar karne ke
Aale chalee jaaye jaan
Par dhadkta hai dil us jism mein
kayi anjaan majboor zindagiyon ki khaatir
Aur jism ke darwaje kholkar
Nikal aate hai tukde jigar ke
Khalije ke, kudrat ke kayi karishmon ke
Aur insaan ka hunar dikhaakar apna kartab
Pakshta hai nayi zindagi kayi roopon ko
Woh tumhari ukhaadadee huyi jaan
Ab phir se umad ne lagi hai un roopon mein
Aane waali anginat sadiyon tak
Phir se zinda rehne ke liye
Ye maut fakr hoga tujhe bhi dekhaakar ye zinda dil
Jinhon ne ki hai dosti tujh se bhi (2)
Ye maut fakr hoga tujhe bhi ...
https://www.youtube.com/watch?v=xHwHPlUZuOU
No comments:
Post a Comment